1 Yūhannā 4

haqīqī aur jhūṭī rūh

1azīzo, har ek rūh kā yaqīn mat karnā balki rūhoṅ ko parakh kar mālūm kareṅ ki vah allāh se haiṅ yā nahīṅ, kyūṅki mut’addid jhūṭe nabī duniyā meṅ nikle haiṅ. 2is se āp allāh ke rūh ko pahachān lete haiṅ : jo bhī rūh is kā etirāf kartī hai ki īsā masīh mujassam ho kar āyā hai vah allāh se hai. 3lekin jo bhī rūh īsā ke bāre meṅ yah taslīm na kare vah allāh se nahīṅ hai. yah muḵẖālif-e-masīh kī rūh hai jis ke bāre meṅ āp ko ḵẖabar milī ki vah āne vālā hai balki is vaqt duniyā meṅ ā chukā hai.

4lekin āp piyāre baccho, allāh se haiṅ aur un par ġālib ā gae haiṅ. kyūṅki jo āp meṅ hai vah us se baṛā hai jo duniyā meṅ hai. 5yah log duniyā se haiṅ aur is liye duniyā kī bāteṅ karte haiṅ aur duniyā un kī suntī hai. 6ham to allāh se haiṅ aur jo allāh ko jāntā hai vah hamārī suntā hai. lekin jo allāh se nahīṅ hai vah hamārī nahīṅ suntā. yūṅ ham sacchāī kī rūh aur fareb dene vālī rūh meṅ imtiyāz kar sakte haiṅ.

allāh muhabbat hai

7azīzo, āeṅ ham ek dūsre se muhabbat rakheṅ. kyūṅki muhabbat allāh kī taraf se hai, aur jo muhabbat rakhtā hai vah allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai aur allāh ko jāntā hai. 8jo muhabbat nahīṅ rakhtā vah allāh ko nahīṅ jāntā, kyūṅki allāh muhabbat hai. 9is meṅ allāh kī muhabbat hamāre darmiyān zāhir huī ki us ne apne iklaute farzand ko duniyā meṅ bhej diyā tāki ham us ke zarīe jieṅ. 10yahī muhabbat hai, yah nahīṅ ki ham ne allāh se muhabbat kī balki yah ki us ne ham se muhabbat karke apne farzand ko bhej diyā tāki vah hamāre gunāhoṅ ko miṭāne ke liye kaffārā de.

11azīzo, chūṅki allāh ne hameṅ itnā piyār kiyā is liye lāzim hai ki ham bhī ek dūsre ko piyār kareṅ. 12kisī ne bhī allāh ko nahīṅ dekhā. lekin jab ham ek dūsre ko piyār karte haiṅ to allāh hamāre andar bastā hai aur us kī muhabbat hamāre andar takmīl pātī hai.

13ham kis tarah pahachān lete haiṅ ki ham us meṅ rahate heṅ aur vah ham meṅ? is tarah ki us ne hameṅ apnā rūh baḵẖsh diyā hai. 14aur ham ne yah bāt dekh lī aur is kī gavāhī dete haiṅ ki ḵẖudā bāp ne apne farzand ko duniyā kā najātadihandā banne ke liye bhej diyā hai. 15agar koī iqrār kare ki īsā allāh kā farzand hai to allāh us meṅ rahatā hai aur vah allāh meṅ. 16aur ḵẖud ham ne vah muhabbat jān lī hai aur us par īmān lāe haiṅ jo allāh ham se rakhtā hai. allāh muhabbat hī hai. jo bhī muhabbat meṅ qāim rahatā hai vah allāh meṅ rahatā hai aur allāh us meṅ. 17isī tarah muhabbat hamāre darmiyān takmīl tak pahuṅchtī hai, aur yūṅ ham adālat ke din pūre etimād ke sāth khaṛe ho sakeṅge, kyūṅki jaise vah hai vaise hī ham bhī is duniyā meṅ haiṅ. 18muhabbat meṅ ḵẖauf nahīṅ hotā balki kāmil muhabbat ḵẖauf ko bhagā detī hai, kyūṅki ḵẖauf ke pīchhe sazā kā ḍar hai. jo ḍartā hai us kī muhabbat takmīl tak nahīṅ pahuṅchī.

19ham is liye muhabbat rakhte haiṅ ki allāh ne pahale ham se muhabbat rakhī. 20agar koī kahe, “maiṅ allāh se muhabbat rakhtā hūṅ” lekin apne bhāī se nafrat kare to vah jhūṭā hai. kyūṅki jo apne bhāī se jise us ne dekhā hai muhabbat nahīṅ rakhtā vah kis tarah allāh se muhabbat rakh saktā hai jise us ne nahīṅ dekhā? 21jo hukm masīh ne hameṅ diyā hai vah yah hai, jo allāh se muhabbat rakhtā hai vah apne bhāī se bhī muhabbat rakhe.