1 Yūhannā 3

allāh ke farzand

1dhyān deṅ ki bāp ne ham se kitnī muhabbat kī hai, yahāṅ tak ki ham allāh ke farzand kahalāte haiṅ. aur ham vāqaī haiṅ bhī. is liye duniyā hameṅ nahīṅ jāntī. vah to use bhī nahīṅ jāntī. 2azīzo, ab ham allāh ke farzand haiṅ, aur jo kuchh ham hoṅge vah abhī tak zāhir nahīṅ huā hai. lekin itnā ham jānte haiṅ ki jab vah zāhir ho jāegā to ham us kī mānind hoṅge. kyūṅki ham us kā mushāhadā vaise hī kareṅge jaisā vah hai. 3jo bhī masīh meṅ yah ummīd rakhtā hai vah apne āp ko pāk-sāf rakhtā hai, vaise hī jaisā masīh ḵẖud hai.

4jo gunāh kartā hai vah sharīat kī ḵẖilāfvarzī kartā hai. hāṅ, gunāh sharīat kī ḵẖilāfvarzī hī hai. 5lekin āp jānte haiṅ ki īsā hamāre gunāhoṅ ko uṭhā le jāne ke liye zāhir huā. aur us meṅ gunāh nahīṅ hai. 6jo us meṅ qāim rahatā hai vah gunāh nahīṅ kartā. aur jo gunāh kartā rahatā hai na to us ne use dekhā hai, na use jānā hai.

7piyāre baccho, kisī ko ijāzat na deṅ ki vah āp ko sahīh rāh se haṭā de. jo rāst kām kartā hai vah rāstbāz, hāṅ masīh jaisā rāstbāz hai. 8jo gunāh kartā hai vah iblīs se hai, kyūṅki iblīs shurū hī se gunāh kartā āyā hai. allāh kā farzand isī liye zāhir huā ki iblīs kā kām tabāh kare.

9jo bhī allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai vah gunāh nahīṅ karegā, kyūṅki allāh kī fitrat us meṅ rahatī hai. vah gunāh kar hī nahīṅ saktā kyūṅki vah allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai. 10is se patā chaltā hai ki allāh ke farzand kaun haiṅ aur iblīs ke farzand kaun : jo rāst kām nahīṅ kartā, na apne bhāī se muhabbat rakhtā hai, vah allāh kā farzand nahīṅ hai.

ek dūsre se muhabbat rakhnā

11kyūṅki yahī vah paiġām hai jo āp ne shurū se sun rakhā hai, ki hameṅ ek dūsre se muhabbat rakhnā hai. 12qābīl kī tarah na hoṅ, jo iblīs kā thā aur jis ne apne bhāī ko qatl kiyā. aur us ne us ko qatl kyūṅ kiyā? is liye ki us kā kām burā thā jabki bhāī kā kām rāst thā.

13chunāṅche bhāiyo, jab duniyā āp se nafrat kartī hai to hairān na ho jāeṅ. 14ham to jānte haiṅ ki ham maut se nikal kar zindagī meṅ dāḵẖil ho gae haiṅ. ham yah is liye jānte haiṅ ki ham apne bhāiyoṅ se muhabbat rakhte haiṅ. jo muhabbat nahīṅ rakhtā vah ab tak maut kī hālat meṅ hai. 15jo bhī apne bhāī se nafrat rakhtā hai vah qātil hai. aur āp jānte haiṅ ki jo qātil hai us meṅ abdī zindagī nahīṅ rahatī. 16is se hī ham ne muhabbat ko jānā hai ki masīh ne hamārī ḵẖātir apnī jān de dī. aur hamārā bhī farz yahī hai ki apne bhāiyoṅ kī ḵẖātir apnī jān deṅ. 17agar kisī ke mālī hālāt ṭhīk hoṅ aur vah apne bhāī kī zarūratmand hālat ko dekh kar raham na kare to us meṅ allāh kī muhabbat kis tarah qāim rah saktī hai? 18piyāre baccho, āeṅ ham alfāz aur bātoṅ se muhabbat kā izhār na kareṅ balki hamārī muhabbat amlī aur haqīqī ho.

allāh ke huzūr pūrā etimād

19ġaraz is se ham pahachān lete haiṅ ki ham sacchāī kī taraf se haiṅ, aur yūṅ hī ham apne dil ko tasallī de sakte haiṅ 20jab vah hameṅ mujrim ṭhaharātā hai. kyūṅki allāh hamāre dil se baṛā hai aur sab kuchh jāntā hai. 21aur azīzo, jab hamārā dil hameṅ mujrim nahīṅ ṭhaharātā to ham pūre etimād ke sāth allāh ke huzūr ā sakte haiṅ 22aur vah kuchh pāte haiṅ jo us se māṅgte haiṅ. kyūṅki ham us ke ahkām par chalte haiṅ aur vahī kuchh karte haiṅ jo use pasand hai. 23aur us kā yah hukm hai ki ham us ke farzand īsā masīh ke nām par īmān lā kar ek dūsre se muhabbat rakheṅ, jis tarah masīh ne hameṅ hukm diyā thā. 24jo allāh ke ahkām ke tābe rahatā hai vah allāh meṅ bastā hai aur allāh us meṅ. ham kis tarah pahachān lete haiṅ ki vah ham meṅ bastā hai? us rūh ke vasīle se jo us ne hameṅ diyā hai.