1 Kurinthiyoṅ 9

rasūl kā haq

1kyā maiṅ āzād nahīṅ? kyā maiṅ masīh kā rasūl nahīṅ? kyā maiṅ ne īsā ko nahīṅ dekhā jo hamārā ḵẖudāvand hai? kyā āp ḵẖudāvand meṅ merī mehanat kā phal nahīṅ haiṅ? 2agarchi maiṅ dūsroṅ ke nazdīk masīh kā rasūl nahīṅ, lekin āp ke nazdīk to zarūr hūṅ. ḵẖudāvand meṅ āp hī merī risālat par muhar haiṅ.

3jo merī bāzapurs karnā chāhate haiṅ unheṅ maiṅ apne difā meṅ kahatā hūṅ, 4kyā hameṅ khāne-pīne kā haq nahīṅ? 5kyā hameṅ haq nahīṅ ki shādī karke apnī bīvī ko sāth liye phireṅ? dūsre rasūl aur ḵẖudāvand ke bhāī aur kaifā to aisā hī karte haiṅ. 6kyā mujhe aur barnabās hī ko apnī ḵẖidmat ke ajr meṅ kuchh pāne kā haq nahīṅ? 7kaun sā faujī apne ḵẖarch par jaṅg laṛtā hai? kaun aṅgūr kā bāġ lagā kar us ke phal se apnā hissā nahīṅ pātā? yā kaun revaṛ kī gallābānī karke us ke dūdh se apnā hissā nahīṅ pātā?

8kyā maiṅ yah faqat insānī soch ke tahat kah rahā hūṅ? kyā sharīat bhī yahī nahīṅ kahatī? 9tauret meṅ likhā hai, “jab tū fasal gāhane ke liye us par bail chalne detā hai to us kā muṅh bāṅdh kar na rakhnā.” kyā allāh sirf bailoṅ kī fikr kartā hai 10yā vah hamārī ḵẖātir yah farmātā hai? hāṅ, zarūr hamārī ḵẖātir kyūṅki hal chalāne vālā is ummīd par chalātā hai ki use kuchh milegā. isī tarah gāhane vālā is ummīd par gāhatā hai ki vah paidāvār meṅ se apnā hissā pāegā. 11ham ne āp ke liye ruhānī bīj boyā hai. to kyā yah nāmunāsib hai agar ham āp se jismānī fasal kāṭeṅ? 12agar dūsroṅ ko āp se apnā hissā lene kā haq hai to kyā hamārā un se ziyādā haq nahīṅ bantā?

lekin ham ne is haq se fāidā nahīṅ uṭhāyā. ham sab kuchh bardāsht karte haiṅ tāki masīh kī ḵẖushḵẖabarī ke liye kisī bhī tarah se rukāvaṭ kā bāis na baneṅ. 13kyā āp nahīṅ jānte ki bait-ul-muqaddas meṅ ḵẖidmat karne vāloṅ kī zarūriyāt bait-ul-muqaddas hī se pūrī kī jātī haiṅ? jo qurbāniyāṅ chaṛhāne ke kām meṅ masrūf rahate haiṅ unheṅ qurbāniyoṅ se hī hissā miltā hai. 14isī tarah ḵẖudāvand ne muqarrar kiyā hai ki iṅjīl kī ḵẖushḵẖabarī kī munādī karne vāloṅ kī zarūriyāt un se pūrī kī jāeṅ jo is ḵẖidmat se fāidā uṭhāte haiṅ.

15lekin maiṅ ne kisī tarah bhī is se fāidā nahīṅ uṭhāyā, aur na is liye likhā hai ki mere sāth aisā sulūk kiyā jāe. nahīṅ, is se pahale ki faḵẖar karne kā merā yah haq mujh se chhīn liyā jāe behatar yah hai ki maiṅ mar jāūṅ. 16lekin allāh kī ḵẖushḵẖabarī kī munādī karnā mere liye faḵẖar kā bāis nahīṅ. maiṅ to yah karne par majbūr hūṅ. mujh par afsos agar is ḵẖushḵẖabarī kī munādī na karūṅ. 17agar maiṅ yah apnī marzī se kartā to phir ajr kā merā haq bantā. lekin aisā nahīṅ hai balki ḵẖudā hī ne mujhe yah zimmādārī dī hai. 18to phir merā ajr kyā hai? yah ki maiṅ iṅjīl kī ḵẖushḵẖabarī muft sunāūṅ aur apne us haq se fāidā na uṭhāūṅ jo mujhe us kī munādī karne se hāsil hai.

19agarchi maiṅ sab logoṅ se āzād hūṅ phir bhī maiṅ ne apne āp ko sab kā ġulām banā liyā tāki ziyādā se ziyādā logoṅ ko jīt lūṅ. 20meṅ yahūdiyoṅ ke darmiyān yahūdī kī mānind banā tāki yahūdiyoṅ ko jīt lūṅ. mūsvī sharīat ke tahat zindagī guzārne vāloṅ ke darmiyān maiṅ un kī mānind banā tāki unheṅ jīt lūṅ, go maiṅ sharīat ke mā-tahat nahīṅ. 21mūsvī sharīat ke baġair zindagī guzārne vāloṅ ke darmiyān maiṅ un hī kī mānind banā tāki unheṅ jīt lūṅ. is kā matlab yah nahīṅ ki maiṅ allāh kī sharīat ke tābe nahīṅ hūṅ. haqīqat meṅ maiṅ masīh kī sharīat ke tahat zindagī guzārtā hūṅ. 22maiṅ kamzoroṅ ke liye kamzor banā tāki unheṅ jīt lūṅ. sab ke liye maiṅ sab kuchh banā tāki har mumkin tarīqe se bāz ko bachā sakūṅ. 23jo kuchh bhī kartā hūṅ allāh kī ḵẖushḵẖabarī ke vāste kartā hūṅ tāki is kī barkāt meṅ sharīk ho jāūṅ.

24kyā āp nahīṅ jānte ki sṭeḍiyam meṅ dauṛte to sab hī haiṅ, lekin in’ām ek hī shaḵẖs hāsil kartā hai? chunāṅche aise dauṛeṅ ki āp hī jīteṅ. 25kheloṅ meṅ sharīk hone vālā har shaḵẖs apne āp ko saḵẖt nazm-o-zabt kā pāband rakhtā hai. vah fānī tāj pāne ke liye aisā karte haiṅ, lekin ham ġairfānī tāj pāne ke liye. 26chunāṅche maiṅ har vaqt manzil-e-maqsūd ko pesh-e-nazar rakhte hue dauṛtā hūṅ. aur maiṅ isī tarah bāksiṅg bhī kartā hūṅ, maiṅ havā meṅ mukke nahīṅ mārtā balki nishāne ko. 27maiṅ apne badan ko mārtā kūṭtā aur ise apnā ġulām banātā hūṅ, aisā na ho ki dūsroṅ meṅ munādī karke ḵẖud nāmaqbūl ṭhaharūṅ.