1 Kurinthiyoṅ 8

butoṅ kī qurbāniyāṅ

1ab maiṅ butoṅ kī qurbānī ke bāre meṅ bāt kartā hūṅ. ham jānte haiṅ ki ham sab sāhib-e-ilm haiṅ. ilm insān ke phūlne kā bāis bantā hai jabki muhabbat us kī tāmīr kartī hai. 2jo samajhtā hai ki us ne kuchh jān liyā hai us ne ab tak us tarah nahīṅ jānā jis tarah us ko jānnā chāhie. 3lekin jo allāh se muhabbat rakhtā hai use allāh ne jān liyā hai.

4butoṅ kī qurbānī khāne ke zimn meṅ ham jānte haiṅ ki duniyā meṅ but koī chīz nahīṅ aur ki rabb ke sivā koī aur ḵẖudā nahīṅ hai. 5beshak āsmān-o-zamīn par kaī nām-nihād devtā hote haiṅ, hāṅ dar’asal bahutere devtāoṅ aur ḵẖudāvandoṅ kī pūjā kī jātī hai. 6to bhī ham jānte haiṅ ki faqat ek hī ḵẖudā hai, hamārā bāp jis ne sab kuchh paidā kiyā hai aur jis ke liye ham zindagī guzārte haiṅ. aur ek hī ḵẖudāvand hai yānī īsā masīh jis ke vasīle se sab kuchh vujūd meṅ āyā hai aur jis se hameṅ zindagī hāsil hai.

7lekin har kisī ko is kā ilm nahīṅ. bāz īmāndār to ab tak yah sochne ke ādī haiṅ ki but kā vujūd hai. is liye jab vah kisī but kī qurbānī kā gosht khāte haiṅ to vah samajhte haiṅ ki ham aisā karne se us but kī pūjā kar rahe haiṅ. yūṅ un kā zamīr kamzor hone kī vajah se ālūdā ho jātā hai. 8haqīqat to yah hai ki hamārā allāh ko pasand ānā is bāt par mabnī nahīṅ ki ham kyā khāte haiṅ aur kyā nahīṅ khāte. na parhez karne se hameṅ koī nuqsān pahuṅchtā hai aur na khā lene se koī fāidā.

9lekin ḵẖabardār raheṅ ki āp kī yah āzādī kamzoroṅ ke liye ṭhokar kā bāis na bane. 10kyūṅki agar koī kamazorazamīr shaḵẖs āp ko butḵẖāne meṅ khānā khāte hue dekhe to kyā use us ke zamīr ke ḵẖilāf butoṅ kī qurbāniyāṅ khāne par ubhārā nahīṅ jāegā? 11is tarah āp kā kamzor bhāī jis kī ḵẖātir masīh qurbān huā āp ke ilm-o-irfān kī vajah se halāk ho jāegā. 12jab āp is tarah apne bhāiyoṅ kā gunāh karte aur un ke kamzor zamīr ko majrūh karte haiṅ to āp masīh kā hī gunāh karte haiṅ. 13is liye agar aisā khānā mere bhāī ko sahīh rāh se bhaṭkāne kā bāis bane to maiṅ kabhī gosht nahīṅ khāūṅgā tāki apne bhāī kī gumrāhī kā bāis na banūṅ.