1 Kurinthiyoṅ 6

muqaddamābāzī

1āp meṅ yah jur’at kaise paidā huī ki jab kisī kā kisī dūsre īmāndār ke sāth tanāzo ho to vah apnā jhagṛā bedīnoṅ ke sāmne le jātā hai na ki muqaddasoṅ ke sāmne? 2kyā āp nahīṅ jānte ki muqaddasīn duniyā kī adālat kareṅge? aur agar āp duniyā kī adālat kareṅge to kyā āp is qābil nahīṅ ki chhoṭe moṭe jhagṛoṅ kā faislā kar sakeṅ? 3kyā āp ko mālūm nahīṅ ki ham farishtoṅ kī adālat kareṅge? to phir kyā ham rozmarrā ke muāmalāt ko nahīṅ nipṭā sakte? 4aur is qism ke muāmalāt ko faisal karne ke liye āp aise logoṅ ko kyūṅ muqarrar karte haiṅ jo jamāat kī nigāh meṅ koī haisiyat nahīṅ rakhte? 5yah bāt maiṅ āp ko sharm dilāne ke liye kahatā hūṅ. kyā āp meṅ ek bhī sayānā shaḵẖs nahīṅ jo apne bhāiyoṅ ke mābain faislā karne ke qābil ho? 6lekin nahīṅ. bhāī apne hī bhāī par muqaddmā chalātā hai aur vah bhī ġairīmāndāroṅ ke sāmne.

7avval to āp se yah ġaltī huī ki āp ek dūsre se muqaddamābāzī karte haiṅ. agar koī āp se nāinsāfī kar rahā ho to kyā behatar nahīṅ ki āp use aisā karne deṅ? aur agar koī āp ko ṭhag rahā ho to kyā yah behatar nahīṅ ki āp use ṭhigne deṅ? 8is ke bar’aks āp kā yah hāl hai ki āp ḵẖud hī nāinsāfī karte aur ṭhagte haiṅ aur vah bhī apne bhāiyoṅ ko. 9kyā āp nahīṅ jānte ki nāinsāf allāh kī bādshāhī mīrās meṅ nahīṅ pāeṅge? fareb na khāeṅ! harāmakār, butparast, zinākār, hamjinsparast, lauṅḍebāz, 10chor, lālchī, sharābī, badazbān, luṭere, yah sab allāh kī bādshāhī mīrās meṅ nahīṅ pāeṅge. 11āp meṅ se kuchh aise the bhī. lekin āp ko dhoyā gayā, āp ko muqaddas kiyā gayā, āp ko ḵẖudāvand īsā masīh ke nām aur hamāre ḵẖudā ke rūh se rāstbāz banāyā gayā hai.

jism allāh kā ghar hai

12mere liye sab kuchh jāiz hai, lekin sab kuchh mufīd nahīṅ. mere liye sab kuchh jāiz to hai, lekin maiṅ kisī bhī chīz ko ijāzat nahīṅ dūṅgā ki mujh par hukūmat kare. 13beshak ḵẖurāk peṭ ke liye aur peṭ ḵẖurāk ke liye hai, magar allāh donoṅ ko nest kar degā. lekin ham is se yah natījā nahīṅ nikāl sakte ki jism zinākārī ke liye hai. hargiz nahīṅ! jism ḵẖudāvand ke liye hai aur ḵẖudāvand jism ke liye. 14allāh ne apnī qudrat se ḵẖudāvand īsā ko zindā kiyā aur isī tarah vah hameṅ bhī zindā karegā.

15kyā āp nahīṅ jānte ki āp ke jism masīh ke āzā haiṅ? to kyā maiṅ masīh ke āzā ko le kar fāhishā ke āzā banāūṅ? hargiz nahīṅ. 16kyā āp ko mālūm nahīṅ ki jo fāhishā se lipaṭ jātā hai vah us ke sāth ek tan ho jātā hai? jaise pāk navishtoṅ meṅ likhā hai, “vah donoṅ ek ho jāte haiṅ.” 17is ke bar’aks jo ḵẖudāvand se lipaṭ jātā hai vah us ke sāth ek rūh ho jātā hai.

18zinākārī se bhāgeṅ! insān se sarzad hone vālā har gunāh us ke jism se bāhar hotā hai sivā-e-zinā ke. zinākār to apne hī jism kā gunāh kartā hai. 19kyā āp nahīṅ jānte ki āp kā badan rūh-ul-quds kā ghar hai jo āp ke andar sukūnat kartā hai aur jo āp ko allāh kī taraf se milā hai? āp apne mālik nahīṅ haiṅ 20kyūṅki āp ko qīmat adā karke ḵẖarīdā gayā hai. ab apne badan se allāh ko jalāl deṅ.