1 Kurinthiyoṅ 3

kurinthus kī bachgānā hālat

1bhāiyo, maiṅ āp se ruhānī logoṅ kī bāteṅ na kar sakā balki sirf jismānī logoṅ kī. kyūṅki āp ab tak masīh meṅ chhoṭe bacche haiṅ. 2maiṅ ne āp ko dūdh pilāyā, ṭhos ġizā na khilāī, kyūṅki āp us vaqt is qābil nahīṅ the balki ab tak nahīṅ haiṅ. 3abhī tak āp jismānī haiṅ, kyūṅki āp meṅ hasad aur jhagṛā pāyā jātā hai. kyā is se yah sābit nahīṅ hotā ki āp jismānī haiṅ aur rūh ke baġair chalte haiṅ? 4jab koī kahatā hai, “maiṅ paulus kī pārṭī kā hūṅ” aur dūsrā, “maiṅ apullos kī pārṭī kā hūṅ” to kyā is se yah zāhir nahīṅ hotā ki āp ruhānī nahīṅ balki insānī soch rakhte haiṅ?

paulus aur apullos kī haisiyat

5apullos kī kyā haisiyat hai aur paulus kī kyā? donoṅ naukar haiṅ jin ke vasīle se āp īmān lāe. aur ham meṅ se har ek ne vahī ḵẖidmat anjām dī jo ḵẖudāvand ne us ke sapurd kī. 6maiṅ ne paude lagāe, apullos pānī detā rahā, lekin allāh ne unheṅ ugne diyā. 7lihāzā paudā lagāne vālā aur ābpāshī karne vālā donoṅ kuchh bhī nahīṅ, balki ḵẖudā hī sab kuchh hai jo paude ko phalne phūlne detā hai. 8paudā lagāne aur pānī dene vālā ek jaise haiṅ, alabattā har ek ko us kī mehanat ke mutābiq mazdūrī milegī. 9kyūṅki ham allāh ke muāvin haiṅ jabki āp allāh kā khet aur us kī imārat haiṅ.

10allāh ke us fazl ke mutābiq jo mujhe baḵẖshā gayā maiṅ ne ek dānishmand ṭhekedār kī tarah bunyād rakhī. is ke bād koī aur us par imārat tāmīr kar rahā hai. lekin har ek dhyān rakhe ki vah bunyād par imārat kis tarah banā rahā hai. 11kyūṅki bunyād rakhī jā chukī hai aur vah hai īsā masīh. is ke ilāvā koī bhī mazīd koī bunyād nahīṅ rakh saktā. 12jo bhī is bunyād par kuchh tāmīr kare vah muḵẖtalif mavād to istemāl kar saktā hai, maslan sonā, chāṅdī, qīmtī patthar, lakṛī, sūkhī ghās yā bhūsā, 13lekin āḵẖir meṅ har ek kā kām zāhir ho jāegā. qiyāmat ke din kuchh poshīdā nahīṅ rahegā balki āg sab kuchh zāhir kar degī. vah sābit kar degī ki har kisī ne kaisā kām kiyā hai. 14agar us kā tāmīrī kām na jalā jo us ne is bunyād par kiyā to use ajr milegā. 15agar us kā kām jal gayā to use nuqsān pahuṅchegā. ḵẖud to vah bach jāegā magar jalte jalte.

16kyā āp ko mālūm nahīṅ ki āp allāh kā ghar haiṅ, aur āp meṅ allāh kā rūh sukūnat kartā hai? 17agar koī allāh ke ghar ko tabāh kare to allāh use tabāh karegā, kyūṅki allāh kā ghar maḵẖsūs-o-muqaddas hai aur yah ghar āp hī haiṅ.

apne bāre meṅ sheḵẖī na mārnā

18koī apne āp ko fareb na de. agar āp meṅ se koī samjhe ki vah is duniyā kī nazar meṅ dānishmand hai to phir zarūrī hai ki vah bevuqūf bane tāki vāqaī dānishmand ho jāe. 19kyūṅki is duniyā kī hikmat allāh kī nazar meṅ bevuqūfī hai. chunāṅche muqaddas navishtoṅ meṅ likhā hai, “vah dānishmandoṅ ko un kī apnī chālākī ke phaṅde meṅ phaṅsā detā hai.” 20yah bhī likhā hai, “rabb dānishmandoṅ ke ḵẖayālāt ko jāntā hai ki vah bātil haiṅ.” 21ġaraz koī kisī insān ke bāre meṅ sheḵẖī na māre. sab kuchh to āp kā hai. 22paulus, apullos, kaifā, duniyā, zindagī, maut, maujūdā jahān ke aur mustaqbil ke umūr sab kuchh āp kā hai. 23lekin āp masīh ke haiṅ aur masīh allāh kā hai.