1 Kurinthiyoṅ 2

paulus kī sādā munādī

1bhāiyo, mujh par bhī ġaur kareṅ. jab maiṅ āp ke pās āyā to maiṅ ne āp ko allāh kā bhed moṭe moṭe alfāz meṅ yā falsafiyānā hikmat kā izhār karte hue na sunāyā. 2vajah kyā thī? yah ki maiṅ ne irādā kar rakhā thā ki āp ke darmiyān hote hue maiṅ īsā masīh ke sivā aur kuchh na jānūṅ, ḵẖāskar yah ki use maslūb kiyā gayā. 3hāṅ maiṅ kamazorahāl, ḵẖauf khāte aur bahut thartharāte hue āp ke pās āyā. 4aur guftagu aur munādī karte hue maiṅ ne duniyāvī hikmat ke baṛe zordār alfāz kī mārifat āp ko qāil karne kī koshish na kī, balki rūh-ul-quds aur allāh kī qudrat ne merī bātoṅ kī tasdīq kī, 5tāki āp kā īmān insānī hikmat par mabnī na ho balki allāh kī qudrat par.

ġalat aur sahīh dānāī

6dānāī kī bāteṅ ham us vaqt karte haiṅ jab kāmil īmān rakhne vāloṅ ke darmiyān hote haiṅ. lekin yah dānāī maujūdā jahān kī nahīṅ aur na is jahān ke hākimoṅ hī kī hai jo miṭne vāle haiṅ. 7balki ham ḵẖudā hī kī dānāī kī bāteṅ karte haiṅ jo bhed kī sūrat meṅ chhupī rahī hai. allāh ne tamām zamānoṅ se peshtar muqarrar kiyā hai ki yah dānāī hamāre jalāl kā bāis bane. 8is jahān ke kisī bhī hākim ne is dānāī ko na pahachānā, kyūṅki agar vah pahachān lete to phir vah hamāre jalālī ḵẖudāvand ko maslūb na karte. 9dānāī ke bāre meṅ pāk navishte bhī yahī kahate haiṅ,

“jo na kisī āṅkh ne dekhā, na kisī kān ne sunā,

aur na insān ke zahan meṅ āyā,

use allāh ne un ke liye tayyār kar diyā

jo us se muhabbat rakhte haiṅ.”

10lekin allāh ne yahī kuchh apne rūh kī mārifat ham par zāhir kiyā kyūṅki us kā rūh har chīz kā khoj lagātā hai, yahāṅ tak ki allāh kī gaharāiyoṅ kā bhī. 11insān ke bātin se kaun vāqif hai sivā-e-insān kī rūh ke jo us ke andar hai? isī tarah allāh se tālluq rakhne vālī bātoṅ ko koī nahīṅ jāntā sivā-e-allāh ke rūh ke. 12aur hameṅ duniyā kī rūh nahīṅ milī balki vah rūh jo allāh kī taraf se hai tāki ham us kī atākaradā bātoṅ ko jān sakeṅ.

13yahī kuchh ham bayān karte haiṅ, lekin aise alfāz meṅ nahīṅ jo insānī hikmat se hameṅ sikhāyā gayā balki rūh-ul-quds se. yūṅ ham ruhānī haqīqatoṅ kī tashrīh ruhānī logoṅ ke liye karte haiṅ. 14jo shaḵẖs ruhānī nahīṅ hai vah allāh ke rūh kī bātoṅ ko qabūl nahīṅ kartā kyūṅki vah us ke nazdīk bevuqūfī haiṅ. vah unheṅ pahachān nahīṅ saktā kyūṅki un kī parakh sirf ruhānī shaḵẖs hī kar saktā hai. 15vahī har chīz parakh letā hai jabki us kī apnī parakh koī nahīṅ kar saktā. 16chunāṅche pāk kalām meṅ likhā hai,

“kis ne rabb kī soch ko jānā?
kaun us ko tālīm degā?”
lekin ham masīh kī soch rakhte haiṅ.