1 Kurinthiyoṅ 14

nubuvvat aur ġairzabāneṅ

1muhabbat kā dāman thāme rakheṅ. lekin sāth hī ruhānī nemtoṅ ko sargarmī se istemāl meṅ lāeṅ, ḵẖusūsan nubuvvat kī nemat ko. 2ġairzabān bolne vālā logoṅ se nahīṅ balki allāh se bāt kartā hai. koī us kī bāt nahīṅ samajhtā kyūṅki vah rūh meṅ bhed kī bāteṅ kartā hai. 3is ke bar’aks nubuvvat karne vālā logoṅ se aisī bāteṅ kartā hai jo un kī tāmīr-o-taraqqī, hausalāafzāī aur tasallī kā bāis bantī haiṅ. 4ġairzabān bolne vālā apnī tāmīr-o-taraqqī kartā hai jabki nubuvvat karne vālā jamāat kī.

5maiṅ chāhatā hūṅ ki āp sab ġairzabāneṅ boleṅ, lekin is se ziyādā yah ḵẖwāhish rakhtā hūṅ ki āp nubuvvat kareṅ. nubuvvat karne vālā ġairzabāneṅ bolne vāle se aham hai. hāṅ, ġairzabāneṅ bolne vālā bhī aham hai bashartīki apnī zabān kā tarjumā kare, kyūṅki is se ḵẖudā kī jamāat kī tāmīr-o-taraqqī hotī hai.

6bhāiyo, agar maiṅ āp ke pās ā kar ġairzabāneṅ bolūṅ, lekin mukāshfe, ilm, nubuvvat aur tālīm kī koī bāt na karūṅ to āp ko kyā fāidā hogā? 7bejān sāzoṅ par ġaur karne se bhī yahī bāt sāmne ātī hai. agar bāṅsrī yā sarod ko kisī ḵẖās sur ke mutābiq na bajāyā jāe to phir sunne vāle kis tarah pahachān sakeṅge ki in par kyā kyā pesh kiyā jā rahā hai? 8isī tarah agar bigal kī āvāz jaṅg ke liye tayyār ho jāne ke liye sāf taur se na baje to kyā faujī kamarbastā ho jāeṅge? 9agar āp sāf sāf bāt na kareṅ to āp kī hālat bhī aisī hī hogī. phir āp kī bāt kaun samjhegā? kyūṅki āp logoṅ se nahīṅ balki havā se bāteṅ kareṅge. 10is duniyā meṅ bahut ziyādā zabāneṅ bolī jātī haiṅ aur in meṅ se koī bhī nahīṅ jo bemānī ho. 11agar maiṅ kisī zabān se vāqif nahīṅ to maiṅ us zabān meṅ bolne vāle ke nazdīk ajnabī ṭhaharūṅgā aur vah mere nazdīk. 12yah usūl āp par bhī lāgū hotā hai. chūṅki āp ruhānī nemtoṅ ke liye taṛapte haiṅ to phir ḵẖāskar un nemtoṅ meṅ māhir banne kī koshish kareṅ jo ḵẖudā kī jamāat ko tāmīr kartī haiṅ.

13chunāṅche ġairzabān bolne vālā duā kare ki is kā tarjumā bhī kar sake. 14kyūṅki agar maiṅ ġairzabān meṅ duā karūṅ to merī rūh to duā kartī hai magar merī aqal beamal rahatī hai. 15to phir kyā karūṅ? maiṅ rūh meṅ duā karūṅgā, lekin aqal ko bhī istemāl karūṅgā. maiṅ rūh meṅ hamd-o-sanā karūṅgā, lekin aqal ko bhī istemāl meṅ lāūṅgā. 16agar āp sirf rūh meṅ hamd-o-sanā kareṅ to hāzirīn meṅ se jo āp kī bāt nahīṅ samajhtā vah kis tarah āp kī shukrguzārī par “āmīn” kah sakegā? use to āp kī bātoṅ kī samajh hī nahīṅ āī. 17beshak āp acchhī tarah ḵẖudā kā shukr kar rahe hoṅge, lekin is se dūsre shaḵẖs kī tāmīr-o-taraqqī nahīṅ hogī.

18maiṅ ḵẖudā kā shukr kartā hūṅ ki āp sab kī nisbat ziyādā ġairzabānoṅ meṅ bāt kartā hūṅ. 19phir bhī maiṅ ḵẖudā kī jamāat meṅ aisī bāteṅ pesh karnā chāhatā hūṅ jo dūsre samajh sakeṅ aur jin se vah tarbiyat hāsil kar sakeṅ. kyūṅki ġairzabānoṅ meṅ bolī gaī beshumār bātoṅ kī nisbat pāṅch tarbiyat dene vāle alfāz kahīṅ behatar haiṅ.

20bhāiyo, bacchoṅ jaisī soch se bāz āeṅ. burāī ke lihāz se to zarūr bacche bane raheṅ, lekin samajh meṅ bāliġ ban jāeṅ. 21sharīat meṅ likhā hai, “rabb farmātā hai ki maiṅ ġairzabānoṅ aur ajnabiyoṅ ke hoṅṭoṅ kī mārifat is qaum se bāt karūṅgā. lekin vah phir bhī merī nahīṅ suneṅge.” 22is se zāhir hotā hai ki ġairzabāneṅ īmāndāroṅ ke liye imtiyāzī nishān nahīṅ hotīṅ balki ġairīmāndāroṅ ke liye. is ke bar’aks nubuvvat ġairīmāndāroṅ ke liye imtiyāzī nishān nahīṅ hotī balki īmāndāroṅ ke liye.

23ab farz kareṅ ki īmāndār ek jagah jamā haiṅ aur tamām hāzirīn ġairzabāneṅ bol rahe haiṅ. isī asnā meṅ ġairzabān ko na samajhne vāle yā ġairīmāndār ā shāmil hote haiṅ. āp ko is hālat meṅ dekh kar kyā vah āp ko dīvānā qarār nahīṅ deṅge? 24is ke muqāble meṅ agar tamām log nubuvvat kar rahe hoṅ aur koī ġairīmāndār andar āe to kyā hogā? vah sab use qāil kar leṅge ki gunāhgār hai aur sab use parakh leṅge. 25yūṅ us ke dil kī poshīdā bāteṅ zāhir ho jāeṅgī, vah gir kar allāh ko sijdā karegā aur taslīm karegā ki filahaqīqat allāh āp ke darmiyān maujūd hai.

jamāat meṅ tartīb kī zarūrat

26bhāiyo, phir kyā honā chāhie? jab āp jamā hote haiṅ to har ek ke pās koī gīt yā tālīm yā mukāshfā yā ġairzabān yā is kā tarjumā ho. in sab kā maqsad ḵẖudā kī jamāat kī tāmīr-o-taraqqī ho. 27ġairzabān meṅ bolte vaqt sirf do yā ziyādā se ziyādā tīn ashḵẖās boleṅ aur vah bhī bārī bārī. sāth hī koī un kā tarjumā bhī kare. 28agar koī tarjumā karne vālā na ho to ġairzabān bolne vālā jamāat meṅ ḵẖāmosh rahe, alabattā use apne āp se aur allāh se bāt karne kī āzādī hai. 29nabiyoṅ meṅ se do yā tīn nubuvvat kareṅ aur dūsre un kī bātoṅ kī sehat ko parkheṅ. 30agar is daurān kisī baiṭhe hue shaḵẖs ko koī mukāshfā mile to pahalā shaḵẖs ḵẖāmosh ho jāe. 31kyūṅki āp sab bārī bārī nubuvvat kar sakte haiṅ tāki tamām log sīkheṅ aur un kī hausalāafzāī ho. 32nabiyoṅ kī rūheṅ nabiyoṅ ke tābe rahatī haiṅ, 33kyūṅki allāh betartībī kā nahīṅ balki salāmatī kā ḵẖudā hai.

jaisā muqaddasīn kī tamām jamāatoṅ kā dastūr hai 34ḵẖavātīn jamāat meṅ ḵẖāmosh raheṅ. unheṅ bolne kī ijāzat nahīṅ, balki vah faramāṁbardār raheṅ. sharīat bhī yahī farmātī hai. 35agar vah kuchh sīkhnā chāheṅ to apne ghar par apne shauhar se pūchh leṅ, kyūṅki aurat kā ḵẖudā kī jamāat meṅ bolnā sharm kī bāt hai.

36kyā allāh kā kalām āp meṅ se niklā hai, yā kyā vah sirf āp hī tak pahuṅchā hai? 37agar koī ḵẖayāl kare ki maiṅ nabī hūṅ yā ḵẖās ruhānī haisiyat rakhtā hūṅ to vah jān le ki jo kuchh maiṅ āp ko likh rahā hūṅ vah ḵẖudāvand kā hukm hai. 38jo yah nazar’andāz kartā hai use ḵẖud bhī nazar’andāz kiyā jāegā.

39ġaraz bhāiyo, nubuvvat karne ke liye taṛapte raheṅ, alabattā kisī ko ġairzabāneṅ bolne se na rokeṅ. 40lekin sab kuchh shāistagī aur tartīb se amal meṅ āe.