1 Kurinthiyoṅ 13

muhabbat

1agar maiṅ insānoṅ aur farishtoṅ kī zabāneṅ bolūṅ, lekin muhabbat na rakhūṅ to phir maiṅ bas gūṅjtā huā ghaṛiyāl yā ṭhanṭhanātī huī jhāṅjh hī hūṅ. 2agar merī nubuvvat kī nemat ho aur mujhe tamām bhedoṅ aur har ilm se vāqfiyat ho, sāth hī merā aisā īmān ho ki pahāṛoṅ ko khiskā sakūṅ, lekin merā dil muhabbat se ḵẖālī ho to maiṅ kuchh bhī nahīṅ. 3agar maiṅ apnā sārā māl ġarīboṅ meṅ taqsīm kar dūṅ balki apnā badan jalāe jāne ke liye de dūṅ, lekin merā dil muhabbat se ḵẖālī ho to mujhe kuchh fāidā nahīṅ. 4muhabbat sabr se kām letī hai, muhabbat meharbān hai. na yah hasad kartī hai na ḍīṅgeṅ mārtī hai. yah phūltī bhī nahīṅ.

5muhabbat badtamīzī nahīṅ kartī na apne hī fāide kī talāsh meṅ rahatī hai. yah jaldī se ġusse meṅ nahīṅ ā jātī aur dūsroṅ kī ġaltiyoṅ kā rikārḍ nahīṅ rakhtī. 6yah nāinsāfī dekh kar ḵẖush nahīṅ hotī balki sacchāī ke ġālib āne par hī ḵẖushī manātī hai. 7yah hameshā dūsroṅ kī kamzoriyāṅ bardāsht kartī hai, hameshā etimād kartī hai, hameshā ummīd rakhtī hai, hameshā sābitqadam rahatī hai.

8muhabbat kabhī ḵẖatm nahīṅ hotī. is ke muqāble meṅ nubuvvateṅ ḵẖatm ho jāeṅgī, ġairzabāneṅ jātī raheṅgī, ilm miṭ jāegā. 9kyūṅki is vaqt hamārā ilm nāmukammal hai aur hamārī nubuvvat sab kuchh zāhir nahīṅ kartī. 10lekin jab vah kuchh āegā jo kāmil hai to yah adhūrī chīzeṅ jātī raheṅgī. 11jab maiṅ bacchā thā to bacche kī tarah boltā, bacche kī sī soch rakhtā aur bacche kī sī samajh se kām letā thā. lekin ab maiṅ bāliġ hūṅ, is liye maiṅ ne bacche kā sā andāz chhoṛ diyā hai. 12is vaqt hameṅ āīne meṅ dhundalā sā dikhāī detā hai, lekin us vaqt ham rū-ba-rū dekheṅge. ab maiṅ juzvī taur par jāntā hūṅ, lekin us vaqt kāmil taur se jān lūṅgā, aise hī jaise allāh ne mujhe pahale se jān liyā hai.

13ġaraz īmān, ummīd aur muhabbat tīnoṅ qāim rahate haiṅ, lekin in meṅ afzal muhabbat hai.