1 Kurinthiyoṅ 11

1mere namūne par chaleṅ jis tarah maiṅ masīh ke namūne par chaltā hūṅ.

ibādat meṅ ḵẖavātīn kā kirdār

2shābāsh ki āp har tarah se mujhe yād rakhte haiṅ. āp ne rivāyāt ko yūṅ mahfūz rakhā hai jis tarah maiṅ ne unheṅ āp ke sapurd kiyā thā. 3lekin maiṅ āp ko ek aur bāt se āgāh karnā chāhatā hūṅ. har mard kā sar masīh hai jabki aurat kā sar mard aur masīh kā sar allāh hai. 4agar koī mard sar ḍhāṅk kar duā yā nubuvvat kare to vah apne sar kī beizzatī kartā hai. 5aur agar koī ḵẖātūn naṅge sar duā yā nubuvvat kare to vah apne sar kī beizzatī kartī hai, goyā vah sar muṅḍī hai. 6jo aurat apne sar par dopaṭṭā nahīṅ letī vah ṭiṅḍ karvāe. lekin agar ṭiṅḍ karvānā yā sar muṅḍavānā us ke liye beizzatī kā bāis hai to phir vah apne sar ko zarūr ḍhāṅke. 7lekin mard ke liye lāzim hai ki vah apne sar ko na ḍhāṅke kyūṅki vah allāh kī sūrat aur jalāl ko mun’akis kartā hai. lekin aurat mard kā jalāl mun’akis kartī hai, 8kyūṅki pahalā mard aurat se nahīṅ niklā balki aurat mard se niklī hai. 9mard ko aurat ke liye ḵẖalaq nahīṅ kiyā gayā balki aurat ko mard ke liye. 10is vajah se aurat farishtoṅ ko pesh-e-nazar rakh kar apne sar par dopaṭṭā le jo us par iḵẖtiyār kā nishān hai. 11lekin yād rahe ki ḵẖudāvand meṅ na aurat mard ke baġair kuchh hai aur na mard aurat ke baġair. 12kyūṅki agarchi ibtidā meṅ aurat mard se niklī, lekin ab mard aurat hī se paidā hotā hai. aur har shay allāh se nikaltī hai.

13āp ḵẖud faislā kareṅ. kyā munāsib hai ki koī aurat allāh ke sāmne naṅge sar duā kare? 14kyā fitrat bhī yah nahīṅ sikhātī ki lambe bāl mard kī beizzatī kā bāis haiṅ 15jabki aurat ke lambe bāl us kī izzat kā mūjib haiṅ? kyūṅki bāl use ḍhāṁpne ke liye die gae haiṅ. 16lekin is silsile meṅ agar koī jhagaṛne kā shauq rakhe to jān le ki na hamārā yah dastūr hai, na allāh kī jamāatoṅ kā.

ashā-e-rabbānī

17maiṅ āp ko ek aur hidāyat detā hūṅ. lekin is silsile meṅ mere pās āp ke liye tārīfī alfāz nahīṅ, kyūṅki āp kā jamā honā āp kī behatrī kā bāis nahīṅ hotā balki nuqsān kā bāis. 18avval to maiṅ suntā hūṅ ki jab āp jamāat kī sūrat meṅ ikaṭṭhe hote haiṅ to āp ke darmiyān pārṭībāzī nazar ātī hai. aur kisī hadd tak mujhe is kā yaqīn bhī hai. 19lāzim hai ki āp ke darmiyān muḵẖtalif pārṭiyāṅ nazar āeṅ tāki āp meṅ se vah zāhir ho jāeṅ jo āzmāne ke bād bhī sacche nikleṅ. 20jab āp jamā hote haiṅ to jo khānā āp khāte haiṅ us kā ashā-e-rabbānī se koī tālluq nahīṅ rahā. 21kyūṅki har shaḵẖs dūsroṅ kā intizār kie baġair apnā khānā khāne lagtā hai. natīje meṅ ek bhūkā rahatā hai jabki dūsre ko nashā ho jātā hai. 22tājjub hai! kyā khāne-pīne ke liye āp ke ghar nahīṅ? yā kyā āp allāh kī jamāat ko haqīr jān kar un ko jo ḵẖālī hāth āe haiṅ sharmindā karnā chāhate haiṅ? maiṅ kyā kahūṅ? kyā āp ko shābāsh dūṅ? is meṅ maiṅ āp ko shābāsh nahīṅ de saktā.

23kyūṅki jo kuchh maiṅ ne āp ke sapurd kiyā hai vah mujhe ḵẖudāvand hī se milā hai. jis rāt ḵẖudāvand īsā ko dushman ke havāle kar diyā gayā us ne roṭī le kar 24shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke kahā, “yah merā badan hai jo tumhāre liye diyā jātā hai. mujhe yād karne ke liye yahī kiyā karo.” 25isī tarah us ne khāne ke bād piyālā le kar kahā, “mai kā yah piyālā vah nayā ahd hai jo mere ḵẖūn ke zarīe qāim kiyā jātā hai. jab kabhī ise piyo to mujhe yād karne ke liye piyo.” 26kyūṅki jab bhī āp yah roṭī khāte aur yah piyālā pīte haiṅ to ḵẖudāvand kī maut kā elān karte haiṅ, jab tak vah vāpas na āe.

27chunāṅche jo nālāiq taur par ḵẖudāvand kī roṭī khāe aur us kā piyālā pie vah ḵẖudāvand ke badan aur ḵẖūn kā gunāh kartā hai aur qusūrvār ṭhaharegā. 28har shaḵẖs apne āp ko parakh kar hī is roṭī meṅ se khāe aur piyāle meṅ se pie. 29jo roṭī khāte aur piyālā pīte vaqt ḵẖudāvand ke badan kā ehatirām nahīṅ kartā vah apne āp par allāh kī adālat lātā hai. 30isī liye āp ke darmiyān bahutere kamzor aur bīmār haiṅ balki bahut se maut kī nīṅd so chuke haiṅ. 31agar ham apne āp ko jāṅchte to allāh kī adālat se bache rahate. 32lekin ḵẖudāvand hamārī adālat karne se hamārī tarbiyat kartā hai tāki ham duniyā ke sāth mujrim na ṭhahareṅ.

33ġaraz mere bhāiyo, jab āp khāne ke liye jamā hote haiṅ to ek dūsre kā intizār kareṅ. 34agar kisī ko bhūk lagī ho to vah apne ghar meṅ hī khānā khā le tāki āp kā jamā honā āp kī adālat kā bāis na ṭhahare. dīgar hidāyāt maiṅ āp ko us vaqt dūṅgā jab āp ke pās āūṅgā.