1 Kurinthiyoṅ 1

salām

1yah ḵẖat paulus kī taraf se hai, jo allāh ke irāde se masīh īsā kā bulāyā huā rasūl hai, aur hamāre bhāī sosthines kī taraf se.

2maiṅ kurinthus meṅ maujūd allāh kī jamāat ko likh rahā hūṅ, āp ko jinheṅ masīh īsā meṅ muqaddas kiyā gayā hai, jinheṅ muqaddas hone ke liye bulāyā gayā hai. sāth hī yah ḵẖat un tamām logoṅ ke nām bhī hai jo har jagah hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kā nām lete haiṅ jo un kā aur hamārā ḵẖudāvand hai.

3hamārā ḵẖudā bāp aur ḵẖudāvand īsā masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.

shukr

4maiṅ hameshā āp ke liye ḵẖudā kā shukr kartā hūṅ ki us ne āp ko masīh īsā meṅ itnā fazl baḵẖshā hai. 5āp ko us meṅ har lihāz se daulatmand kiyā gayā hai, har qism kī taqrīr aur ilm-o-irfān meṅ. 6kyūṅki masīh kī gavāhī ne āp ke darmiyān zor pakaṛ liyā hai, 7is liye āp ko hamāre ḵẖudāvand īsā masīh ke zuhūr kā intizār karte karte kisī bhī barkat meṅ kamī nahīṅ. 8vahī āp ko āḵẖir tak mazbūt banāe rakhegā, is liye āp hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kī dūsrī āmad ke din beilzām ṭhahareṅge. 9allāh par pūrā etimād kiyā jā saktā hai jis ne āp ko bulā kar apne farzand hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kī rifāqat meṅ sharīk kiyā hai.

kurinthiyoṅ kī pārṭībāzī

10bhāiyo, maiṅ apne ḵẖudāvand īsā masīh ke nām meṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki āp sab ek hī bāt kaheṅ. āp ke darmiyān pārṭībāzī nahīṅ balki ek hī soch aur ek hī rāy honī chāhie. 11kyūṅki mere bhāiyo, āp ke bāre meṅ mujhe ḵẖaloe ke ghar vāloṅ se mālūm huā hai ki āp jhagṛoṅ meṅ ulajh gae haiṅ. 12matlab yah hai ki āp meṅ se koī kahatā hai, “maiṅ paulus kī pārṭī kā hūṅ,” koī “maiṅ apullos kī pārṭī kā hūṅ,” koī “maiṅ kaifā kī pārṭī kā hūṅ” aur koī ki “maiṅ masīh kī pārṭī kā hūṅ.” 13kyā masīh baṭ gayā? kyā āp kī ḵẖātir paulus ko salīb par chaṛhāyā gayā? yā kyā āp ko paulus ke nām se baptismā diyā gayā?

14ḵẖudā kā shukr hai ki maiṅ ne āp meṅ se kisī ko baptismā nahīṅ diyā sivā-e-krispus aur gayus ke. 15is liye koī nahīṅ kah saktā ki maiṅ ne paulus ke nām se baptismā pāyā hai. 16hāṅ maiṅ ne stifanās ke gharāne ko bhī baptismā diyā. lekin jahāṅ tak merā ḵẖayāl hai is ke ilāvā kisī aur ko baptismā nahīṅ diyā. 17masīh ne mujhe baptismā dene ke liye rasūl banā kar nahīṅ bhejā balki is liye ki allāh kī ḵẖushḵẖabarī sunāūṅ. aur yah kām mujhe duniyāvī hikmat se ārāstā taqrīr se nahīṅ karnā hai tāki masīh kī salīb kī tāqat beasar na ho jāe.

salīb kā paiġām

18kyūṅki salīb kā paiġām un ke liye jin kā anjām halākat hai bevuqūfī hai jabki hamāre liye jin kā anjām najāt hai yah allāh kī qudrat hai. 19chunāṅche pāk navishtoṅ meṅ likhā hai,

“maiṅ dānishmandoṅ kī dānish ko tabāh karūṅgā

aur samajhdāroṅ kī samajh ko radd karūṅgā.”

20ab dānishmand shaḵẖs kahāṅ hai? ālim kahāṅ hai? is jahān kā munāzre kā māhir kahāṅ hai? kyā allāh ne duniyā kī hikmat-o-dānāī ko bevuqūfī sābit nahīṅ kiyā?

21kyūṅki agarchi duniyā allāh kī dānāī se ghirī huī hai to bhī duniyā ne apnī dānāī kī badaulat allāh ko na pahachānā. is liye allāh ko pasand āyā ki vah salīb ke paiġām kī bevuqūfī ke zarīe hī īmān rakhne vāloṅ ko najāt de. 22yahūdī taqāzā karte haiṅ ki ilāhī bātoṅ kī tasdīq ilāhī nishānoṅ se kī jāe jabki yūnānī dānāī ke vasīle se in kī tasdīq ke ḵẖwāhāṅ haiṅ. 23is ke muqāble meṅ ham masīh-e-maslūb kī munādī karte haiṅ. yahūdī is se ṭhokar khā kar nārāz ho jāte haiṅ jabki ġairyahūdī ise bevuqūfī qarār dete haiṅ. 24lekin jo allāh ke bulāe hue haiṅ, ḵẖwāh vah yahūdī hoṅ ḵẖwāh yūnānī, un ke liye masīh allāh kī qudrat aur allāh kī dānāī hotā hai. 25kyūṅki allāh kī jo bāt bevuqūfī lagtī hai vah insān kī dānāī se ziyādā dānishmand hai. aur allāh kī jo bāt kamzor lagtī hai vah insān kī tāqat se ziyādā tāqatvar hai.

26bhāiyo, is par ġaur kareṅ ki āp kā kyā hāl thā jab ḵẖudā ne āp ko bulāyā. āp meṅ se kam haiṅ jo duniyā ke meyār ke mutābiq dānā haiṅ, kam haiṅ jo tāqatvar haiṅ, kam haiṅ jo ālī ḵẖāndān se haiṅ. 27balki jo duniyā kī nigāh meṅ bevuqūf hai use allāh ne chun liyā tāki dānāoṅ ko sharmindā kare. aur jo duniyā meṅ kamzor hai use allāh ne chun liyā tāki tāqatavaroṅ ko sharmindā kare. 28isī tarah jo duniyā ke nazdīk zalīl aur haqīr hai use allāh ne chun liyā. hāṅ, jo kuchh bhī nahīṅ hai use us ne chun liyā tāki use nest kare jo bazāhir kuchh hai. 29chunāṅche koī bhī allāh ke sāmne apne par faḵẖar nahīṅ kar saktā. 30yah allāh kī taraf se hai ki āp masīh īsā meṅ haiṅ. allāh kī baḵẖshish se īsā ḵẖud hamārī dānāī, hamārī rāstbāzī, hamārī taqdīs aur hamārī maḵẖlsī ban gayā hai. 31is liye jis tarah kalām-e-muqaddas farmātā hai, “faḵẖar karne vālā ḵẖudāvand hī par faḵẖar kare.”